Hello world!

September 27, 2009 by irfan056

Tadapate hain na rote hain na ham fariyaad karate hain
sanam kii yaad mein har-dam Khudaa ko yaad karate hai.n

unhiin ke ishq mein ham naalaa-o-fariyaad karate hain
ilaahii dekhiye kis din hamein vo yaad karate hain

[naalaa = loud wailing]

shab-e-furqat mein kyaa kyaa saanp laharaate hain siine par
tumhaarii kaakul-e-pechaan ko jab ham yaad karate hain

[shab-e-furqat = night of separation; kaakul-e-pechaa.N = curly hair]